Koi na dekhe wo pal kabhi... Jis pal ko maine dekha hai
Jala kar haathon ki laqeerein... Mere kal ko maine dekha hai
Jhuthi tareefein mil jaati hai... Matlabi wale yaarane se
Naqaab utar par jaata hai... Muskilon ke saamne aane se
Aksar huaa aisa saath mere... Badalti shakl ko maine dekha hai

Thokar khakar kuchh sikhaa hai... Sikwa nahin us patthar se
Baazi Jab nakami jeet gayi... Vishwas utha tab kismat se
Jo tut gaya sapno se bhara... Us mahal ko maine dekha hai

Naadan tha mai bas jeeta tha... Hua daga to saans mehsoos huyi
Baatein jab tak mai samajh saka... Huyi der aur saansein tut gayi
Lafzon se bune jo jaal jahaan... Us ghazal ko padh ke dekha hai

No comments:
Post a Comment