Monday 17 September 2018

Roti Hogi

Sahti hogi wo bhi dard mera
Jahaan ke aage muskurakar
Kehti hogi sab khatm huaa
Dil ke jakhm ko gehraa kar
Kehti hogi ab aur nahi
Gussa sa chehra dikha kar
Par pata hai wo bhi roti hogi
Takiye me chehra chhipakar

Keh de us se mai lautunga
Koi to uske paas jaa kar
Koi ponchh de uske aanshu ko
Thik hoga sab yr bata kar
Par sabhi chhidakte namak yahaan
Jale dil ko aur jala kar
Koi soche wo kitna roti hogi
Mere yaad ko seene laga kar

Kaise rahegi wo mere bina
Mere naam ko dil se laga kar
Kaise jiungaa mai uske bina
Wo sunehri yaadein bhulakar
Kon karega ghanton pareshan
Roz der raat tak jaga kar
Shikha de koi hans ke jeena
Har roz yun aanshu baha kar

Wednesday 12 September 2018

Tumne Kabhi Pyar Kiya Hi Nahi

Saare aanshu hum pee gaye
Tumne humein yaad kiya bhi nahi
Sadiyon intezar karte gaye
Tune ek aawaz diya bhi nahi
Rahi dard, giri aanshu, huyi taqleefein
Tumse fariyad kiya bhi nahi
Hum baithe rahe yun haath dekar
Par tumne haath liya hi nahi
Sab khatm hua, mit mai gaya
Maine pal barbad kiya bhi nahi
Galti hai meri kyu jhut kahu
Tumne kabhi pyar kiya hi nahi

Thi mujhe jarurat jab tumhari
Tune us pal saath diya hi nahi
Ki laakhon koshis par tumne
Mera vishwas kiya hi nahi
Mili tumse jakhm har baar mujhe
Diye jakhm ko kabhi tune bhi nahi
Aadat si pad gayi dard ki ab
Bin dard ke kabhi jiya hi nahi
Galti hai meri kyu jhut kahu
Tumne kabhi pyar kiya hi nahi

Thursday 6 September 2018

Mere Kal Ko Maine Dekha Hai

Koi na dekhe wo pal kabhi... Jis pal ko maine dekha hai
Jala kar haathon ki laqeerein... Mere kal ko maine dekha hai

Jhuthi tareefein mil jaati hai... Matlabi wale yaarane se
Naqaab utar par jaata hai... Muskilon ke saamne aane se
Aksar huaa aisa saath mere... Badalti shakl ko maine dekha hai
Jala kar haathon ki laqeerein... Mere kal ko maine dekha hai

Thokar khakar kuchh sikhaa hai... Sikwa nahin us patthar se
Baazi Jab nakami jeet gayi... Vishwas utha tab kismat se
Jo tut gaya sapno se bhara... Us mahal ko maine dekha hai
Jala kar haathon ki laqeerein... Mere kal ko maine dekha hai

Naadan tha mai bas jeeta tha... Hua daga to saans mehsoos huyi
Baatein jab tak mai samajh saka... Huyi der aur saansein tut gayi
Lafzon se bune jo jaal jahaan... Us ghazal ko padh ke dekha hai
Jala kar haathon ki laqeerein... Mere kal ko maine dekha hai

Monday 3 September 2018

Kisi Aur Ko Chahti Hai Wo


अपनी सदा

अपनी सदा तुझको सुनाऊँ
सुन ले जरा अब आ भी जा
अपनी वफ़ा कैसे दिखाऊं
तू है कहा अब आ भी जा

कैसे कहूं मैं हाँ क्या कहूं मैं
तन्हा तेरे बिन कैसे रहूँ मैं
तू यूँ ख़फ़ा है तू यूँ जुदा है
लगता है रूठा मेरा ख़ुदा है
जानूं ना तुझको कैसे  मनाऊं
तू मान जा बस मान जा !

तेरी कमी को आँखों की नमी को
ले कर गुजारूं कैसे इस ज़िन्दगी को
मैं जी रहा हूँ जैसे मर रहा हूँ
तू लौट आये बस ये दुआ कर रहा हूँ
यूँ हीं तड़प के मैं मर ना जाऊं
एक बार आ फिर तू ना जा
अपनी सदा तुझको सुनाऊँ
सुन ले जरा अब आ भी जा !!

Tum Kya Karogi

Chala jaunga tumhe chhodkar jo, totum kya karogi
Naa aunga kabhi lautkar jo, to tum kya karogi
Alfaaz bache nahin tumse kahne ko
Meri saanse bhi band ho jaye jo, to tum kya karogi

Ro lena kuchh pal ko tum bhi, gar mehsoos ho meri ashiqui
Fer lena mere sir pe haath, adhuri na lagegi fir zindagi
Nahin kahta hoon tumhe tum meri ho jaao
Par tumhe bhi ho jaye mohabbat jo, to tum kya karogi

Malum hai kisi aur ki ho amaanat, isme kya kasoor hai mera
Mohabbat ho yaa ibadat, par ye fitoor hai tera
Mai nahi kahta tum meri mehbooba ho
Par agar log aisa sochenge jo, to tum kya karogi

Ashmaan ho ya jameen, sunapan dono me hai
Mohabbat ho ya nafrat bechain man dono se hai
Najrein tumse to milna ittefaq hi hota hai
Tumhe is ittefaq ki aadat ho jaye jo, to tum kya karogi

Yun hi ghazlein na suno meri, chhupe huye dard ko samjho
Paresaniya tumhari bhi hongi bahut, par mere bhi marz ko samjho
Yaad rahe hume samajhna bhi to had tak samajhna
Gar meri humdard ban gayi jo, to tum kya karogi

Roti Hogi

Sahti hogi wo bhi dard mera Jahaan ke aage muskurakar Kehti hogi sab khatm huaa Dil ke jakhm ko gehraa kar Kehti hogi ab aur nahi Guss...